اردو हिंदी
Ek pal ki dauD dhup mein aisa thaka badan | Shaahi Shayari
ek pal ki dauD dhup mein aisa thaka badan

Ghazal

Ek pal ki dauD dhup mein aisa thaka badan

Prem Kumar Nazar

;

ek pal ki dauD dhup mein aisa thaka badan
main KHud to jagta hun magar so gaya badan

bachcha bhi dekh le to humak kar lapak paDe
aisi hi ek chiz hai wo dudhiya badan

ji chahta hai hath laga kar bhi dekh len
us ka badan qaba hai ki us ki qaba badan

jab se chala hai tang qamison ka ye riwaj
na-ashna badan bhi lage aashna badan

ganga ke paniyon sa pawitra kahen jise
aankhon ke taT pe tairta hai jo gaya badan

bistar pe tere mere siwa aur kaun hai
mahsus ho raha hai koi tisra badan

dharti ne mausamon ka asar kar liya qubul
rut phir gai to ho gaya us ka hara badan

is ko kahan kahan se rafu kijiye 'nazar'
behtar yahi hai oDhiye ab dusra badan