اردو हिंदी
Ek nae shahr-e-KHush-asar ki bimari hai | Shaahi Shayari
ek nae shahr-e-KHush-asar ki bimari hai

Ghazal

Ek nae shahr-e-KHush-asar ki bimari hai

Salim Saleem

;

ek nae shahr-e-KHush-asar ki bimari hai
dasht mein bhi dar-o-diwar ki bimari hai

ek hi maut bhala kise kare us ka ilaj
zindagani hai ki sau bar ki bimari hai

bas isi wajh se qaem hai meri sehat-e-ishq
ye jo mujh ko tere didar ki bimari hai

log iqrar karane pe tule hain ki mujhe
apne hi aap se inkar ki bimari hai

ye jo zaKHmon ki tarah lafz mahak uThte hain
sirf ek surat-e-izhaar ki bimari hai

ghar mein rakhta hun agar shor machati hai bahut
meri tanhai ko bazar ki bimari hai