ek nadi mein saikDon dariya ki tughyani mili
Dubne wale ko mar jaane ki aasani mili
hashiya-bardar se puchha samundar ne miyan
aaj tak ek mauj bhi tum ko na diwani mili
sar-phiri pagal hawa ko rokna dushwar tha
ek hi din ke liye thi us ko sultani mili
tishna-lab talab ne baadal ko phir dhoka diya
phir wahi sahra wahi sahra ki virani mili
har safar se kashtiyon ka lauTna mumkin nahin
kya pata kab lahr koi dushman-e-jaani mili
aage pichhe sab ko maqtal se guzarna hai 'zafar'
kyun samajhte hain ki hum ko hi pareshani mili

Ghazal
Ek nadi mein saikDon dariya ki tughyani mili
Zafar Imam