اردو हिंदी
Ek mujassam dard hun ek aah hun | Shaahi Shayari
ek mujassam dard hun ek aah hun

Ghazal

Ek mujassam dard hun ek aah hun

Hamdoon Usmani

;

ek mujassam dard hun ek aah hun
phir bhi zeb-o-zinat-e-afwah hun

main ne duniya ki pasand oDhi nahin
kuchh bhi hun phir bhi to haq-agah hun

sadd-e-lahm-o-ustuKHwan hote hue
har nafas ab bhi tere hamrah hun

karb wahshat gham masail ke tufail
aaj tak zinda ba-hamdillah hun

mere naqsh-e-pa se nikle raste
log phir bhi kahte hain gumrah hun

parwarish pati hai jis se tirgi
main wahi farzand-e-mehr-o-mah hun

mai-kade ki rah se tujh ko pa liya
log kahte hain ki main gumrah hun