ek mohabbat ke ewaz arz-o-sama de dunga
tujh se kafir ko to main apna KHuda de dunga
justuju bhi mera fan hai mere bichhDe hue dost
jo bhi dar band mila us pe sada de dunga
ek pal bhi tere pahlu mein jo mil jae to main
apne ashkon se use aab-e-baqa de dunga
ruKH badal dunga saba ka tere kuche ki taraf
aur tufan ko apna hi pata de dunga
jab bhi aaen mere hathon mein ruton ki bagen
barf ko dhup to sahra ko ghaTa de dunga
tu karam kar nahin sakta to sitam toD ke dekh
main tere zulm ko bhi husn-e-ada de dunga
KHatm gar ho na saki uzr-tarashi teri
ek sadi tak tujhe jine ki dua de dunga
Ghazal
Ek mohabbat ke ewaz arz-o-sama de dunga
Ahmad Nadeem Qasmi