ek masafat panw shal karti hui si KHwab mein
ek safar gahra musalsal zardi-e-mahtab mein
tez hai bu-e-shagufa hae marg-e-na-gahan
ghir gai KHak-e-zamin jaise hisar-e-ab mein
hasil-e-johd-e-musalsal mustaqil aazurdagi
kaam karta hun hawa mein justuju nayab mein
tang karti hai makan mein KHwahish-e-sair-e-basit
hai asar daim falak ka sahn ki mehrab mein
ai 'munir' ab is qadar KHamoshiyan ye kya hua
ye sifat aai kahan se para-e-simab mein
Ghazal
Ek masafat panw shal karti hui si KHwab mein
Muneer Niyazi