ek KHwab thi zindagi hamari
phir aankh nahin khuli hamari
duniya se bhi phir nahin mile hum
wo bhi to kabhi na thi hamari
din Dhal gaya KHwab dekhne mein
kaT jaegi raat bhi hamari
palkon pe ye phul aansuon ke
sahra ki ye ret bhi hamari
ek dhyan ki lahr ne Duboya
ek yaad na ho saki hamari
Tapon ki sada si us ke gham ki
be-tegh sipah thi hamari
kab ho gai mere qad se unchi
diwar ye bich ki hamari
dekha to har aaine mein hum the
KHud se hui baat bhi hamari
aae ho to ye ghazal bhi sun lo
be-waqt ki ragni hamari
Ghazal
Ek KHwab thi zindagi hamari
Mushaf Iqbal Tausifi