ek KHwab ki jo aankh bhigone ke liye hai
ek yaad ki sine mein chubhone ke liye hai
ek zaKHm ki sab zaKHm bhula Dale hain jis ne
ek gham ki jo ta-umr bhulane ke liye hai
ek ruh ki sona hai magar mail bhari bhi
ek aag isi mail ko dhone ke liye hai
aankhon mein abhi dhul si lamhon ki jami hai
dil mein koi sailab sa rone ke liye hai
dil ko to bahut pahle se dhaDka sa laga tha
pana tera shayad tujhe khone ke liye hai
kashti ka ye hachkola ye mallah ka chakkar
kashti ko nahin mujh ko Dubone ke liye hai
taqdir se laD sakta hai koi kahan 'haidar'
wo hadsa hona hai jo hone ke liye hai
Ghazal
Ek KHwab ki jo aankh bhigone ke liye hai
Haidar Qureshi