ek KHwab ke mauhum nishan DhunD raha tha
main hadd-e-yaqin par bhi guman DhunD raha tha
sae ki tarah bhagte mahaul ke andar
main apne KHayalon ka jahan DhunD raha tha
jo raaz hai wo khul ke bhi ek raaz hi rah jae
izhaar ko main aisi zaban DhunD raha tha
marham ki tamanna thi mujhe zaKHm se bahar
darman tha kahan aur kahan DhunD raha tha
shayad ki wo waqif nahin aadab-e-safar se
pani mein jo qadmon ke nishan DhunD raha tha
kab tha use andaza 'sahar' sang-e-falak ka
shishe ke makan mein jo aman DhunD raha tha
Ghazal
Ek KHwab ke mauhum nishan DhunD raha tha
Sahar Ansari