ek khula maidan tamasha-gah ke us par hai 
jis mein har raqqas ka ek aaina tayyar hai 
ret ke zariye hamari manzilen aur un ki hum 
pas yahan samt-e-safar ka jaanna be-kar hai 
raat aur tufan-e-abr-o-baad mere har taraf 
dur lau deti hui ek mashal-e-ruKHsar hai 
phir kabhi uTThe to mil lenge na itne dukh uTha 
maut se hota hua ek rasta hamwar hai 
is tarah bab-e-nasihat khol kar baiThe hain log 
jaise KHair o shar ka duniya mein koi mear hai 
lahr wo aai ki hum hain aur nasheb-e-gumrahi 
gham ke aage band ab ke bandhna dushwar hai 
silsila aawaz ka dekho ki KHoshe sarsarae 
phir khanak hai dhat ki phir sanp ki phunkar hai
        Ghazal
Ek khula maidan tamasha-gah ke us par hai
Mohammad Izhar ul Haq

