ek junun kahiye use jo mere sar se nikla
warna matlab na koi arz-e-hunar se nikla
koi manzil na mili panw jo ghar se nikla
phir safar pesh tha jab gard-e-safar se nikla
bach ke har-chand zamane ki nazar se nikla
samne ku-e-malamat tha jidhar se nikla
main bahut dur kahin chhoD chuka tha us ko
qafila phir meri hasrat ka kidhar se nikla
uTh ke us bazm se aa jaana kuchh aasan na tha
ek diwar se nikla hun jo dar se nikla
mai-kada dekha to yaad-e-gham-e-yaran aai
jam chhalka to lahu zaKHm-e-jigar se nikla
bhiD ke KHauf se phir ghar ki taraf lauT aaya
ghar se jab shahr mein tanhai ke Dar se nikla
paD gaya waqt to sadiyon ke bharam TuT gae
kaam kuchh sham se nikla na sahar se nikla
Ghazal
Ek junun kahiye use jo mere sar se nikla
Aleem Masroor