ek husn-e-be-misal ke jo ru-ba-ru hun main
mahsus ho raha hai KHud apna adu hun main
apni giraft-e-shauq se niklun to kis tarah
phaila hua jahan mein har ek su hun main
mujh pe teri hayat ka dar-o-madar hai
jazbon se jhankta hua zinda lahu hun main
gunjunga tere zehn ke gumbad mein raat-din
jis ko na tu bhula sake wo guftugu hun main
har subh ek marka-e-karbala sahi
har sham apne doston mein surKH-ru hun main
puchhun main kis se aalam-e-imkan mein kis liye
apne hi naqsh-e-pa ki tarah ku-ba-ku hun main
'saifi' main apne aap mein nilam ho gaya
kis ko KHabar thi shahr mein ek KHub-ru hun main
Ghazal
Ek husn-e-be-misal ke jo ru-ba-ru hun main
Bashir Saifi