ek hujum-e-girya ki har nazar tamashai
der se KHarabon mein hai asir tanhai
dil ki sham ki surat zaKHm zaKHm sannaTa
jaan ki shor-e-wahshat mein subh ki tamannai
kakul-e-KHizan tere be-sabab ulajhne se
chehra-e-bahaaran par dekh tirgi chhai
thi teri nigahon ke sail-e-tirgi mein gum
kab tere ujale mein KHud ko main nazar aai
qurb tha ki aaina jaan talak bulata tha
hijr ne bhula di hai surat-e-shanasai
bab-e-rang ghunchon ke pairahan pe wa kar ke
khil rahi hai shaKHon par dard ki pazirai
KHush hun ek sitare par dekh kar makan apna
raat meri binai kaun si nazar lai
Ghazal
Ek hujum-e-girya ki har nazar tamashai
Shahida Tabassum