ek harf-e-kun mein jis ne kaun-o-makan banaya
sare jahan ka tujh ko aaram-e-jaan banaya
bu-e-mohabbat apni rakkhi KHuda ne is mein
sine mein aadmi ke dil itr-dan banaya
apni to is chaman mein nit umr yunhi guzri
yan aashiyan banaya wan aashiyan banaya
mehnat pe Tuk nazar kar suratgar-e-azal ne
chaalis din mein tera mim-e-dahan banaya
az-bas-ki is safar mein manzil ko hum na pahunche
aawargi ne hum ko reg-e-rawan banaya
maghrur kyun na howe sanat par apni sane
kis waste jab us ne ye gulistan banaya
KHun-e-jigar se mere gul ki shabih khinchi
nale ko mere le kar sarw-e-rawan banaya
aata hai 'mushafi' tu ye kis ke zaKHm khae
tir-e-jafa ka kis ne tujh ko nishan banaya
sau TukDe hai gareban daman lahu mein tar hai
ye rang tu ne zalim apna kahan banaya
Ghazal
Ek harf-e-kun mein jis ne kaun-o-makan banaya
Mushafi Ghulam Hamdani

