ek faramosh kahani mein raha
main jo us aankh ke pani mein raha
ruKH se uDta hua wo rang-e-bahaar
ek taswir purani mein raha
main ki madum raha surat-e-KHwab
phir kisi yaad-dahani mein raha
Dhang ke ek Thikane ke liye
ghar-ka-ghar naql-e-makani mein raha
main Thaharta gaya rafta rafta
aur ye dil apni rawani mein raha
wo mera naqsh-e-kaf-e-pa-e-talab
ahd-e-rafta ki nishani mein raha
main ki hagama-e-yak-KHwab liye
koi din aalam-e-fani mein raha
Ghazal
Ek faramosh kahani mein raha
Abrar Ahmad