اردو हिंदी
Ek dil mein tha ek samne dariya use kahna | Shaahi Shayari
ek dil mein tha ek samne dariya use kahna

Ghazal

Ek dil mein tha ek samne dariya use kahna

Yasmeen Habeeb

;

ek dil mein tha ek samne dariya use kahna
mumkin tha kahan par utarna use kahna

hijran ke samundar mein hayula tha kisi ka
imkan ke bhanwar se koi ubhra use kahna

ek harf ki kirchi mere sine mein chhupi thi
pahron tha koi TuT ke roya use kahna

muddat hui KHurshid gahan se nahin nikla
aisa kahin tara koi TuTa use kahna

jati thi koi rah akeli kisi jaanib
tanha tha safar mein koi saya use kahna

har zaKHm mein dhaDkan ki sada gunj rahi thi
ek hashr ka tha shor-sharaba use kahna