ek Dher rakh mein se sharar chun raha hun main
KHwabon ke darmiyan KHabar chun raha hun main
kya dil-KHarash kaam hua hai mere supurd
ek zard rut ke barg-o-samar chun raha hun main
ek KHwab tha ki TuT gaya KHun ke habs mein
ab tund dhaDkanon ke bhanwar chun raha hun main
kya jaane us ke KHat mein dhuan kya hai harf harf
mafhum chun raha hun asar chun raha hun main
ai ramz-ashna-e-tajassus idhar bhi dekh
aandhe samundaron se guhar chun raha hun main
wo mustaqil ghubar hai chaaron taraf ki ab
ghar ke tamam rauzan o dar chun raha hun main
'bani' nazar ka zawiya badla hai is tarah
ab har faza se chiz-e-digar chun raha hun main
Ghazal
Ek Dher rakh mein se sharar chun raha hun main
Rajinder Manchanda Bani