اردو हिंदी
Ek Dhab pe kabhu wo but-e-KHud-kaam na paya | Shaahi Shayari
ek Dhab pe kabhu wo but-e-KHud-kaam na paya

Ghazal

Ek Dhab pe kabhu wo but-e-KHud-kaam na paya

Qayem Chandpuri

;

ek Dhab pe kabhu wo but-e-KHud-kaam na paya
dekha mein jo kuchh subh use sham na paya

apni hi hawas ke ye sab uljhaw hain warna
is rah mein hum ne to kahin dam na paya

wo naKHl-e-KHizan-dida hun us dasht mein jis ke
saye mein kisi pahunche ne bisram na paya

wo be-sar-o-tan hai ye zamana ki ba-in-ghaur
jis ka main kuchh aaghaz aur anjam na paya

fahrist mein KHuban-e-wafadar ki pyare
dekhi to kahin us mein tera nam na paya

mamul tha dushnam ewaz apni dua ka
so wo bhi kai din se main inam na paya

yak shab wo kahin god mein soya tha so 'qaem'
phir baalish-e-maKHmal se main aaram na paya