ek dariche ki tamanna mujhe dubhar hui hai
wo ghuTan hi meri sanson pe muqarrar hui hai
aaj rakkhe hain qadam us ne meri chaukhaT par
aaj dahliz meri chhat ke barabar hui hai
nind ne nind se chaunka ke uThaya mujh ko
KHwab mein KHwab ki tabir ujagar hui hai
us ne raaton ke taqaddus ko kiya hai majruh
ek muTThi bhi jise dhup mayassar hui hai
jab se sikha hai hunar shishagari ka main ne
bas usi din se ye duniya hai ki patthar hui hai
ab zaminon ko bichhae ki falak ko oDhe
muflisi to bhari barsat mein be-ghar hui hai
ek muddat se jo sahra-e-masarrat thi 'salim'
gham ke chhute hi wahi chashm samundar hui hai
Ghazal
Ek dariche ki tamanna mujhe dubhar hui hai
Saleem Siddiqui