ek dard sa pahlu mein machalta hai sar-e-sham
jab chand jharoke mein nikalta hai sar-e-sham
be-nam si ek aag dahak uThti hai dil mein
mahtab jo ThanDak si ugalta hai sar-e-sham
kuchh der shafaq phulti hai jaise ufuq par
aise hi mera haal sambhalta hai sar-e-sham
ye dil hai mera ya kisi kuTiya ka diya hai
bujhta hai dam-e-subh to jalta hai sar-e-sham
banta hai wo ek chehra kabhi gul kabhi shoala
sanche mein KHayalon ke jo Dhalta hai sar-e-sham
chhaT jati hai aalam-e-zamana ki siyahi
jab daur teri yaad ka chalta hai sar-e-sham
main dur bahut dur pahunch jata hun 'taib'
ruKH soch ka dhaara jo badalta hai sar-e-sham
Ghazal
Ek dard sa pahlu mein machalta hai sar-e-sham
Hafiz Taib