ek dard ka sahra hai simaTta hi nahin hai 
ek gham ka samundar hai jo ghaTta hi nahin hai 
kya tera badan jaan gaya teri ana ko 
pahle ki tarah mujh se lipaTta hi nahin hai 
schooli kitabo zara fursat use de do 
bachcha mera titli pe jhapaTta hi nahin hai 
kya kya nahin karta hai zamana use bad-dil 
dil hai ki teri or se haTta hi nahin hai 
sab KHali gilason ko 'ziya' thame hue hain 
saqi hai ki paimana ulaTta hi nahin hai
        Ghazal
Ek dard ka sahra hai simaTta hi nahin hai
Zia Zameer

