ek chehre par rose guzara hota hai
pyar kisi ko kab dobara hota hai
main tum par har bar bharosa karta hun
itna sachcha jhuTh tumhaara hota hai
tum mere is dil ko pagal mat kahna
apna bachcha sab ko pyara hota hai
tum jao par yaadon ko to rahne do
yaadon ka bhi ek sahaara hota hai
us panchhi ka haal 'sachin' kis ne samjha
jo pinjre mein qaid dobara hota hai

Ghazal
Ek chehre par rose guzara hota hai
Sachin Shalini