ek barg-e-sabz shaKH se kar ke juda bhi dekh
main phir bhi ji raha hun mera hausla bhi dekh
zarre ki shakl mein mujhe simTa hua na jaan
sahra ke rup mein mujhe phaila hua bhi dekh
tu ne to musht-e-KHak samajh kar uDa diya
ab mujh ko apni rah mein bikhra hua bhi dekh
mana ki tera mujh se koi wasta nahin
milne ke baad mujh se zara aaina bhi dekh
tere liye to sirf ishaaron ka khel tha
mujh ko jo pesh aaya hai wo hadsa bhi dekh
auron ke pas ja ke meri dastan na puchh
jo kuchh hai mere chehre pe likkha hua bhi dekh
hamwar raston pe mera sath chhoD kar
aage nikal gaya tha to ab rasta bhi dekh
chehre ki chandni pe na itna bhi man kar
waqt-e-sahar to rang kabhi chand ka bhi dekh
Ghazal
Ek barg-e-sabz shaKH se kar ke juda bhi dekh
Murtaza Birlas