ek barg-e-KHushk se gul-e-taza tak aa gae
hum shahr-e-dil se jism ke sahra tak aa gae
us sham Dubne ki tamanna nahin rahi
jis sham tere husn ke dariya tak aa gae
kuchh log ibtida-e-rifaqat se qabl hi
aainda ke har ek guzishta tak aa gae
ye kya ki tum se raaz-e-mohabbat nahin chhupa
ye kya ki tum bhi shauq-e-tamasha tak aa gae
bezari-e-kamal se itna hua ki hum
aaram se zawal-e-tamanna tak aa gae
Ghazal
Ek barg-e-KHushk se gul-e-taza tak aa gae
Saeed Ahmad