اردو हिंदी
Ek bahana hai tujhe yaad kiye jaane ka | Shaahi Shayari
ek bahana hai tujhe yaad kiye jaane ka

Ghazal

Ek bahana hai tujhe yaad kiye jaane ka

Tufail Bismil

;

ek bahana hai tujhe yaad kiye jaane ka
kab saliqa hai mujhe warna ghazal gane ka

phir se bikhri hai teri zulf mere shanon par
waqt aaya hai gae waqt ko lauTane ka

jis ki tabir ata kar de mujhe wo zulfen
kaun kahta hai ki wo KHwab hai diwane ka

pine wale to tujhe aankh se pi lete hain
wo takalluf hi nahin karte hain paimane ka

kis qadar hath yahan saf nazar aate hain
faiz kitna hai tere shahr pe dastane ka

aap to sher mein mafhum ki surat hote
lafz hota jo koi aap ko pahnane ka

is kaDi dhup mein hum warna to jal jaenge
waqt 'bismil' hai yahi zulf ko lahrane ka