ek apne silsile mein to ahl-e-yaqin hun main
chhe feet tak hun is ke alawa nahin hun main
ru-e-zamin pe chaar arab mere aks hain
in mein se main bhi ek hun chahe kahin hun main
waise to main globe ko paDhta hun raat din
sach ye hai ek flat hai jis ka makin hun main
Takra ke bach gaya hun bason se kai dafa
ab ke jo hadisa ho to samjho nahin hun main
jaane wo koi jabr hai ya iKHtiyar hai
daftar mein thoDi der jo kursi-nashin hun main
meri ragon ke nil se malum kijiye
apni tarah ka ek hi zahr-afrin hun main
mana meri nashist bhi aksar dilon mein hai
angina ki tarah magar dil-nashin hun main
mera bhi ek bap tha achchha sa ek bap
wo jis jagah pahunch ke mara tha wahin hun main
Ghazal
Ek apne silsile mein to ahl-e-yaqin hun main
Rais Farogh