ek ajnabi ki tarah hai ye zindagi mere sath 
jo waqt kaT rahi hai hansi-KHushi mere sath 
suna raha hun kisi aur ko katha apni 
khaDa hua hai koi aur aadmi mere sath 
safar mein peD ka saya nahin milega mujhe 
bas itna sunte hi diwar chal paDi mere sath 
wo mujh ko pahle bhi tanha kahan samajhta tha 
phir us ne meri udasi bhi dekh li mere sath 
suna hai haal batane se dard ghaTta hai 
so ek roz charaghon ne baat ki mere sath 
alaw jalta raha jab talak main chalta raha 
main ruk gaya to kahani bhi ruk gai mere sath
 
        Ghazal
Ek ajnabi ki tarah hai ye zindagi mere sath
Abid Malik

