ek ajab wahshat se dil sinon mein be-kal ho gae
chand kya nikla KHushi se log pagal ho gae
dhup se sahme parindon ko aman milti nahin
saKHti-e-mahr-e-KHizan se KHushk jangal ho gae
rah mein chhanw zara si kar gai mujh ko KHarab
do ghaDi rukne se mere panw bojhal ho gae
ab to bharta hi nahin be-ab aainon mein rang
kaun se manzar meri aankhon se ojhal ho gae
be-hisi aaKHir nikal aai mere gham ka ilaj
barf rakhne se mere ghaw sabhi shal ho gae
kya bataun bad-guman dil mein tamannaon ka haal
is zamin-e-shor mein sab peD be-phal ho gae
Ghazal
Ek ajab wahshat se dil sinon mein be-kal ho gae
Javed Shaheen