اردو हिंदी
Ek ajab kaifiyat-e-hosh-ruba tari thi | Shaahi Shayari
ek ajab kaifiyat-e-hosh-ruba tari thi

Ghazal

Ek ajab kaifiyat-e-hosh-ruba tari thi

Sarwar Arman

;

ek ajab kaifiyat-e-hosh-ruba tari thi
qarya-e-jaan mein kisi jashn ki tayyari thi

sar jhukae hue maqtal mein khaDe the jallad
taKHta-e-dar pe laTki hui KHuddari thi

KHun hi KHun tha darbar ki diwaron par
qabiz-e-taKHt-e-wirasat ki riya-kari thi

ek saat jo teri zulf ke sae mein kaTi
hijr bar-dosh zamanon se kahin bhaari thi

aur sab Thik tha bas hum se bhulai na gai
tere KHamosh rawayye mein jo be-zari thi

ek qayamat thi ki ruswa sar-e-bazar the hum
aur phir us ki wo tashwish bhi bazari thi

tere mahkum tere hashiya-bar-daron ki
sirf wardi hi nahin soch bhi sarkari thi