ek aisi an-kahi tahrir karne ja raha hun
hunar ko aur bhi gambhir karne ja raha hun
mere ehsas mein bechain jis ke KHal-o-KHad hain
use har aankh mein taswir karne ja raha hun
main farhad-e-maani tisha-e-harf-o-bayan se
suKHan ki jhil ju-e-shir karne ja raha hun
dilon ke darmiyan raston mein kitne KHam paDe hain
main un ko phir se sidha tir karne ja raha hun
wo jis mein be-nawaon ke lahu ki surKHiyan hain
kulah-e-shah lir-o-lir karne ja raha hun
mujhe zanjirna hai apne hisse ka zamana
so apne aap ko tasKHir karne ja raha hun
sada tabir-dar-tabir jo rakkhe safar mein
main wo KHwab-e-digar tamir karne ja raha hun
Ghazal
Ek aisi an-kahi tahrir karne ja raha hun
Jaleel u0027Aaliu0027