اردو हिंदी
Ek aisa waqt bhi sahra mein aane wala hai | Shaahi Shayari
ek aisa waqt bhi sahra mein aane wala hai

Ghazal

Ek aisa waqt bhi sahra mein aane wala hai

Shahbaz Khwaja

;

ek aisa waqt bhi sahra mein aane wala hai
ki rasta yahan dariya banane wala hai

wo tirgi hai ki chhaTti nahin kisi surat
charagh ab ke lahu se jalane wala hai

tumhaare hath se tarsha hua wajud hun main
tumhi batao ye rishta bhulane wala hai

abhi KHayal tere lams tak nahin pahuncha
abhi kuchh aur ye manzar banane wala hai

bujhe bujhe se KHad-o-KHal par na ja 'shahbaz'
yahi ufuq hai jo suraj ugane wala hai