ek aas ka dhundla saya hai ek pas ka tapta sahra hai
kya dekh rahe ho aankhon mein in aankhon mein kya rakkha hai
jab khone ko kuchh pas bhi tha tab pane ka kuchh dhyan na tha
ab sochte ho kyun sochte ho kya khoya hai kya paya hai
main jhuT ko sach se kyun badlun aur raat ko din mein kyun gholun
kya sunne wala bahra hai kya dekhne wala andha hai
har KHak mein hai gauhar ghaltan har gauhar mein miTTi raqsan
jis rup ke sab gun gate hain wo rup bhi kis ne dekha hai
kis dil ki baat kahen hum tum kis dil ka dard sahen hum tum
dil patthar hai dil shisha hai dil sahra hai dil dariya hai
ab sare tare kankar hain ab sare hire patthar hain
is basti mein kyun aae ho is basti mein kya rakkha hai
ye marna jina bhi shayad majburi ki do lahren hain
kuchh soch ke marna chaha tha kuchh soch ke jina chaha hai
Ghazal
Ek aas ka dhundla saya hai ek pas ka tapta sahra hai
Sahar Ansari