ijz-e-ahl-e-sitam ki baat karo
ishq ke dam-qadam ki baat karo
bazm-e-ahl-e-tarab ko sharmao
bazm-e-ashab-e-gham ki baat karo
bazm-e-sarwat ke KHush-nashinon se
azmat-e-chashm-e-nam ki baat karo
hai wahi baat yun bhi aur yun bhi
tum sitam ya karam ki baat karo
KHair hain ahl-e-dair jaise hain
aap ahl-e-haram ki baat karo
hijr ki shab to kaT hi jaegi
roz-e-wasl-e-sanam ki baat karo
jaan jaenge jaanne wale
'faiz' farhad o jam ki baat karo
Ghazal
Ijz-e-ahl-e-sitam ki baat karo
Faiz Ahmad Faiz