ijazat kam thi jine ki magar mohlat ziyaada thi
hamare pas marne ke liye fursat ziyaada thi
tajjub mein to paDta hi raha hai aaina akasr
magar is bar us ki aankhon mein hairat ziyaada thi
bulandi ke liye bas apni hi nazron se girna tha
hamari kam-nasibi hum mein kuchh ghairat ziyaada thi
jawan hone se pahle hi buDhapa aa gaya hum par
hamari muflisi par umr ki ujlat ziyaada thi
zamane se alag rah kar bhi main shamil raha is mein
mere inkar mein iqrar ki niyyat ziyaada thi
mayassar muft mein the aasman ke chand tare tak
zamin ke har khilaune ki magar qimat ziyaada thi
wo dil se kam zaban hi se ziyaada baat karta tha
jabhi us ke yahan gahrai kam wusat ziyaada thi
Ghazal
Ijazat kam thi jine ki magar mohlat ziyaada thi
Rajesh Reddy