اردو हिंदी
Iman ki numaish hai sajde hain ki afsane | Shaahi Shayari
iman ki numaish hai sajde hain ki afsane

Ghazal

Iman ki numaish hai sajde hain ki afsane

Siraj Lakhnavi

;

iman ki numaish hai sajde hain ki afsane
hain chand jabinon par aur zehn mein but-KHane

kuchh aql ke matwale kuchh ishq ke diwane
parwaz kahan tak hai kis ki ye KHuda jaane

kam-zarf ki niyyat kya pighla hua loha hai
bhar bhar ke chhalakte hain akasr yahi paimane

ab rang ke naslon ke but TuT chuke saqi
ab kyun diye jate hain pahchan ke paimane

tamhid-e-qayamat hai ek raat ka hangama
ehsas ki shamen hain jazbaat ke parwane

saqi ke saliqe par husn-e-do-jahan sadqe
sayyaron ki gardish hai ya daur mein paimane

ye ek laDi ke sab chhiTke hue moti hain
kabe hi ki shaKHen hain bikhre hue but-KHane

kuchh tishna-lab ai saqi KHuddar bhi hote hain
uD jaegi mai rakkhe rah jaenge paimane

ek kafir-e-mutlaq hai zulmat ki jawani bhi
be-rahm andhera hai shamen hain na parwane

tariKH waraq apna ulTegi 'siraj' ek din
aafaq mein phir zinda honge mere afsane