ihanat-e-dil-e-sabr-azma nahin karte
buland hum bhi ye dast-e-dua nahin karte
sar ahl-e-ishq ke aksar jhuka nahin karte
agar jhuke bhi kahin phir uTha nahin karte
wo baat un ki nigahen batae deti hain
jise wo apni zaban se ada nahin karte
dalil-e-tabish-e-iman hai kufr ka ehsas
charagh sham se pahle jala nahin karte
umid ahd-e-wafa aur un buton se 'shakil'
jo bhul kar bhi kisi se wafa nahin karte
Ghazal
Ihanat-e-dil-e-sabr-azma nahin karte
Shakeel Badayuni

