idhar ye zaban kuchh batati nahin hai
udhar aankh kuchh bhi chhupati nahin hai
pata hai rihai ki dushwariyan par
ye qaid-e-qafas bhi to bhati nahin hai
kami rah gai hogi kuchh to kashish mein
sada lauT kar yun hi aati nahin hai
mujhe ras viraniyan aa gai hain
teri yaad bhi ab satati nahin hai
KHafa hai karam-farma hai kaun jaane
hawa jab diye ko bujhati nahin hai
agar ho gae soch mein aap buDhe
to barish badan ko jalati nahin hai
guman pyar ka ho raha tab se 'niraj'
qasam jab se meri wo khati nahin hai
Ghazal
Idhar ye zaban kuchh batati nahin hai
Neeraj Goswami