idhar ki aaegi ek rau udhar ki aaegi
ki mere sath to miTTi safar ki aaegi
Dhalegi sham jahan kuchh nazar na aaega
phir is ke baad bahut yaad ghar ki aaegi
na koi ja ke use dukh mere sunaega
na kaam dosti ab shahr bhar ki aaegi
abhi buland rakho yaro aaKHiri mashal
idhar to pahli kiran kya sahar ki aaegi
kuchh aur moD guzarne ki der hai bani
sada na gard kisi ham-safar ki aaegi
Ghazal
Idhar ki aaegi ek rau udhar ki aaegi
Rajinder Manchanda Bani