idhar bhi dekh zara be-qarar hum bhi hain
tere fidai tere jaan-nisar hum bhi hain
buto haqir na samjho hamein KHuda ke liye
gharib banda-e-parwar-digar hum bhi hain
kahan ki tauba ye mauqa hai phul uDane ka
chaman hai abr hai saqi hai yar hum bhi hain
misal-e-ghuncha udhar KHanda-zan hai wo gul-e-tar
misal-e-abr idhar ashk-bar hum bhi hain
jigar ne dil se kaha dard-e-hijr-e-jaanan mein
ki ek tu hi nahin be-qarar hum bhi hain
mudam samne ghairon ke be-naqab rahe
isi pe kahte ho tum parda-dar hum bhi hain
hamein bhi dijiye apni gali mein thoDi jagah
gharib balki gharib-ud-dayar hum bhi hain
shagufta bagh-e-suKHan hai hamin se ai 'sabir'
jahan mein misl-e-nasim-e-bahaar hum bhi hain
Ghazal
Idhar bhi dekh zara be-qarar hum bhi hain
Fazal Husain Sabir