husn ke zer-e-bar ho ki na ho
ab ye dil be-qarar ho ki na ho
marg-e-amboh dekh aate hain
aankh phir ashk-bar ho ki na ho
karb-e-paiham se ho gaya patthar
ab ye sina figar ho ki na ho
phir yahi rut ho ain mumkin hai
par tera intizar ho ki na ho
shaKH-e-zaitun ke amin hain hum
shahr mein intishaar ho ki na ho
sher mere sambhaal kar rakhna
ab ghazal mushk-bar ho ki na ho
Ghazal
Husn ke zer-e-bar ho ki na ho
Ghalib Ayaz