husn ka ek aah ne chehra niDhaal kar diya
aaj to ai dil-e-hazin tu ne kamal kar diya
sahta raha jafa-e-dost kahta raha ada-e-dost
mere KHulus ne mera jina muhaal kar diya
mai-kade mein hai qaht-e-mai ya koi aur baat hai
pir-e-mughan ne kyun mujhe jam sambhaal kar diya
jitne chaman-parast the saya-e-gul mein mast the
apna uruj-e-gulistan nazr-e-zawal kar diya
KHud mera soz-e-jaan-gudaz chheD saka na dil ka saz
aap ki ek nigah ne sahab-e-haal kar diya
bazm mein sare ahl-e-hosh un ke sitam pe the KHamosh
ek junun-parast ne uTh ke sawal kar diya
lutf-e-firaq-e-yar ne lazzat-e-intizar ne
dur dil o nigah se shauq-e-visal kar diya
sun ke bayan-e-mai-kada dekh ke shan-e-mai-kada
shaiKH-e-haram ne bhi 'fana' mai ko halal kar diya
Ghazal
Husn ka ek aah ne chehra niDhaal kar diya
Fana Nizami Kanpuri