husn jab qatil na tha aur ishq diwana na tha
zindagi mein dard-o-gham ka koi afsana na tha
sab se wo kahta phira main hi tha us ka aashna
samne aaya to us ne mujh ko pahchana na tha
raat-bhar kuchh aahaTen dil ki taraf aati rahin
hum the jis ke muntazir us ko magar aana na tha
ek sahmi si tamanna ek mubham sa KHayal
is se baDh kar mere dil mein koi nazrana na tha
dekhiye kis samt ab ke le chale aawargi
dasht aisa kaun sa tha hum ne jo chhana na tha
shoala-e-gham jal uTha to bujh gae sare charagh
aatish-e-dil gul hui to koi parwana na tha

Ghazal
Husn jab qatil na tha aur ishq diwana na tha
Shola Haspanvi