اردو हिंदी
Husn-e-takmil-e-tamanna hai saba ho jaana | Shaahi Shayari
husn-e-takmil-e-tamanna hai saba ho jaana

Ghazal

Husn-e-takmil-e-tamanna hai saba ho jaana

Ishrat Rumani

;

husn-e-takmil-e-tamanna hai saba ho jaana
shahr-dar-shahr har ek dil ki rawa ho jaana

pas aa aa ke har ek lamha bichhaDna tera
jaise KHushbu ka rag-e-gul se juda ho jaana

is tarah TuT ke barse hain garajte baadal
jaise jagi hui aankhon ki sada ho jaana

zindagi tu ne kai rang bhare hain paiham
zulf-e-shab-rang kabhi rang-e-hina ho jaana

kitne ban-bas liye phir bhi tere sath rahe
hum ne socha hi nahin tujh se juda ho jaana

jaan-gusil waqt ki taswir adhuri rakh di
hum ne chaha nahin har rang ka wa ho jaana

khetiyan sukh gain KHushk hue dil ke nagar
bawar aaya hamein pani ka hawa ho jaana

bujh gae rah-e-tamanna mein hazaron jugnu
tum mere waste naqsh-e-kaf-e-pa ho jaana

ye bhi mumkin nahin ai dost to sab ki KHatir
chandni ban ke kahin jalwa-numa ho jaana