husn-e-shoKH-chashm mein nam ko wafa nahin
dard-afrin nazar dard-ashna nahin
nang-e-ashiqi hai wo nang-e-zindagi hai wo
jis ke dil ka aaina tera aaina nahin
aah us ki be-kasi tu na jis ke sath ho
hae us ki bandagi jis ka tu KHuda nahin
haif wo alam-nasib jis ka dard tu na ho
uf wo dard-e-zindagi jis ki tu dawa nahin
dost ya aziz hain KHud-farebiyon ka nam
aaj aap ke siwa koi aap ka nahin
apne husn ko zara tu meri nazar se dekh
dost! shash-jahat mein kuchh tere siwa nahin
be-wafa KHuda se Dar tana-e-wafa na de
'tajwar' mein aur aib kuchh hon be-wafa nahin
Ghazal
Husn-e-shoKH-chashm mein nam ko wafa nahin
Tajvar Najibabadi