اردو हिंदी
Husn-e-mutlaq hai kya kise malum | Shaahi Shayari
husn-e-mutlaq hai kya kise malum

Ghazal

Husn-e-mutlaq hai kya kise malum

Sehr Ishqabadi

;

husn-e-mutlaq hai kya kise malum
ibtida intiha kise malum

meri betabiyon ki kha ke qasam
barq ne kya kiya kise malum

din-dahaDe shabab ke hathon
hae main luT gaya kise malum

meri kuchh garm o sard aahon se
aasman kya hua kise malum

husn ka har KHayal raushan hai
ishq ka muddaa kise malum

'sehr' ke ham-nawa farishte hain
hai maqam us ka kya kise malum