اردو हिंदी
Husn-e-asnam ba-har-lamha fuzun hai ki nahin | Shaahi Shayari
husn-e-asnam ba-har-lamha fuzun hai ki nahin

Ghazal

Husn-e-asnam ba-har-lamha fuzun hai ki nahin

Ravish Siddiqi

;

husn-e-asnam ba-har-lamha fuzun hai ki nahin
ye mere zauq-e-tamasha ka fusun hai ki nahin

kuchh to irshad ho ai tamkinat-e-an-e-jamal
ishq shaista-e-tahzib-e-junun hai ki nahin

ye jahan-e-mai-o-mina-o-subu ai waiz
partaw-e-nargis-e-mastana hai kyun hai ki nahin

shola-e-shama se KHakistar-e-parwana tak
ek hi silsila-e-soz-e-darun hai ki nahin

halqa-e-baad-e-saba tazkira-e-zulf-e-sanam
is mein kuchh shaeba-e-zauq-e-junun hai ki nahin

baste jate hain nagar dil hain tabah o viran
aagahi dushman-e-duniya-e-sukun hai ki nahin

hum wo hain aaj 'rawish'-e-sahib-e-diwan-e-ghazal
ye sab us chashm-e-suKHan-go ka fusun hai ki nahin