husn alfaz ke paikar mein agar aa sakta 
kaisa hota hai KHuda tum ko main dikhla sakta 
is safar pe hun ki halkan hua jata hun 
aur kahan jaana hai ye bhi nahin batla sakta 
haarna bhi hai yaqini pe meri fitrat hai 
ek hi chaal hamesha nahin dohra sakta 
zindagi ab tu mujhe aur khilaune la de 
aaise KHwabon se to main dil nahin bahla sakta 
main bhi taqdir ke likkhe pe yaqin le aata 
waqt ek bar jo us se mujhe milwa sakta
        Ghazal
Husn alfaz ke paikar mein agar aa sakta
Faheem Shanas Kazmi

