hukmaran jab se huin basti pe afwahen wahan
din Dhale hi bain karti hain ajab raaten wahan
ek ghurub-e-be-nishan ki samt raste par hun main
KHauf ye darpesh hongi kaisi duniyaen wahan
bar-ha dekhi hai un kuchon ne shab-masti meri
aaj bhi ek ghar ke baam-o-dar shanasa hain wahan
kya tujhe mismari-e-dil ki KHabar koi na thi
kis liye bhejin na tu ne phir ababilen wahan
ek dafa tu yahan aa kar mujhe hairan kar
kya zaruri hai ki tujh se milne aaun main wahan
Ghazal
Hukmaran jab se huin basti pe afwahen wahan
Shahram Sarmadi