hukm-e-sayyaad hai ta-KHatm-e-tamasha-e-bahaar
sari duniya kahe bulbul na kahe hae bahaar
subh gul-gasht ko jate ho ki sharmae bahaar
kya ye matlab hai gulistan se nikal jae bahaar
munh se kuchh bhi dam-e-ruKHsat na kaha bulbul ne
sirf sayyaad ne itna to suna hae bahaar
ye bhi kuchh baat hui gul hanse tum ruTh gae
is pe ye zid ki abhi KHak mein mil jae bahaar
tere qurban 'qamar' munh sar-e-gulzar na khol
sadqe us chand si surat pe na ho jae bahaar
Ghazal
Hukm-e-sayyaad hai ta-KHatm-e-tamasha-e-bahaar
Qamar Jalalvi