hujum-e-yas mein lene wo kab KHabar aaya
ajal na aai to ghash kis umid par aaya
bichhe hain ku-e-sitamgar mein ja-ba-ja KHanjar
rag-e-gulu ka lahu panw mein utar aaya
dikhai marg ne kya kya bulandi o pasti
chale zamin ke tale aasman nazar aaya
hamesha afw tera hai gunah ka hami
hamesha rahm tujhe mere haal par aaya
buton mein koi bhalai bhi hai siwae sitam
bura ho tera dil-e-na-saza kidhar aaya
banai baat bigaDne ne roz-e-mahshar bhi
uThe hain KHak se hum jab wo gor par aaya
kahan ki aah-o-buka baat ban gai 'shola'
zaban ke hilte hi fariyaad mein asar aaya
Ghazal
Hujum-e-yas mein lene wo kab KHabar aaya
Shola Aligarhi